maiñ vo majnūñ ki ik sahrā hai mujh meñ
vo sahrā bhī bahut simTā hai mujh meñ
mujhe ḳhud se nikālegā vo āḳhir
ba-nām-e-ishq jo aayā hai mujh meñ
tumhārī yaad ko kaise nikālūñ
ki baaqī kuchh nahīñ bachtā hai mujh meñ
kisī ke barf se lahje ke hāthoñ
ajab sho.ala sā ik bhaḌkā hai mujh meñ
koī tāvīz kā paanī pilā do
koī jādūgarī kartā hai mujh meñ
kamīnī ko ḳhabar is kī nahīñ hai
ki sar se paañv tak dhokā hai mujh meñ
tumhāre ba.ad ye dekhā nahīñ hai
na-jāne kaun ab rahtā hai mujh meñ
tumheñ merī zarūrat bhī paḌegī
purāne shahr kā naqsha hai mujh meñ
tumhārī samt hijrat kar chukā hai
kahāñ 'is.hāq' ab rahtā hai mujh meñ