jādū-Tonā jāntā hai
ġhā.eb honā jāntā hai
dost hai vo gahrā lekin
dushman honā jāntā hai
terī aahaT ko us ghar kā
konā konā jāntā hai
rishtoñ kī turpāī karnā
siinā pironā jāntā hai
bachchoñ ko vo hīre-motī
chāñdī-sonā jāntā hai
paap nahīñ hai jis ke dil meñ
chain se sonā jāntā hai
apne matlab kī ḳhātir vo
sab kuchh honā jāntā hai
hañsnā aa jaatā hai us ko
jo bhī ronā jāntā hai