us ne aate hī diyā bujhā diyā
haal phir saarā mujhe sunā diyā
muḳhtasar se us ke ik tabassum par
jo kuchh bhī thā paas vo luTā diyā
be-sabrī se paḌh gayā ek ek lafz
aur phir vo ḳhat vahīñ jalā diyā
sar uThāyā jis ne bastī ke liye
us ke aage ham ne sar jhukā diyā
saarā din dariyā kināre ret par
naam likhā merā aur miTā diyā
muskurā kar baat hī to kī us ne
logoñ ne is par tūfān uThā diyā
is taraf us ne kabhī dekhā na thā
aur jab dekhā to but banā diyā
ham khare sikke liye baiThe rahe
us ne naqlī note tak chalā diyā