maiñ ne irāda jab bhī kiyā hai uḌaan kā
us ko ḳhayāl aayā hai tīr-o-kamān kā
aa.e ḳhayāl apnī zamīñ kā bhī kuchh unheñ
rakhte haiñ dard dil meñ jo saare jahān kā
phir shahr-e-dostāñ kī taraf gāmzan huuñ maiñ
go jāntā huuñ shahr meñ ḳhatra hai jaan kā
ham ko zamīñ se ḳhūb-tar aayā na kuchh nazar
chakkar lagā ke dekh chuke āsmān kā
az-ḳhud hī ḳhvāhisheñ mirī mahdūd ho ga.iiñ
aayā ḳhayāl jab mujhe apne makān kā