Siraj Faisal Khan

nazar se dur rahe ya nazar ke pas rahe

Siraj Faisal Khan

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1991
nazar se duur rahe yā nazar ke paas rahe
hamesha ishq ke mausam bahut hī ḳhaas rahe
maiñ tere zikr kī vaadī meñ sair kartā rahūñ
hamesha lab pe tire naam kī miThās rahe
ye iztirāb junūñ ko bahut akhartā hai
ki tum qarīb ho tan par koī libās rahe
vo rū-ba-rū the to āñkhoñ se daur chal nikle
khulī na botaleñ ḳhālī sabhī gilās rahe
ye baat raaz kī daadī ne ham ko batlā.ī
hamārī umr meñ abbā bhī devdās rahe
maiñ kahkashāoñ meñ ḳhushiyāñ talāshne niklā
mire sitāre mirā chāñd sab udaas rahe
maiñ muntazar huuñ kisī aise vasl kā jis meñ
mire badan pe tire jism kā libās rahe
tirī hayāt se juḌ jā.ūñ vāqi.a ban kar
tirī kitāb meñ merā bhī iktisāb rahe
Top Urdushayar.com