kisī girdāb kī pheñkī paḌī hai
lab-e-sāhil jo ik kashtī paḌī hai
haqīqat meñ vahī sīdhī paḌī hai
mujhe ik chaal jo ulTī paḌī hai
safar uljhā diye haiñ us ne saare
mire pairoñ meñ jo tezī paḌī hai
vo hañgāma guzar jaatā udhar se
magar raste meñ ḳhāmoshī paḌī hai
mire kānoñ kī zad par haiñ manāzir
mirī āñkhoñ meñ sargoshī paḌī hai
huā hai qatl bedārī kā jab se
ye bastī raat din soī paḌī hai
ye misra maiñ adhūrā chhoḌtā huuñ
mire baste meñ ik taḳhtī paḌī hai
patañg kaTne kā baa.is aur hai kuchh
agarche Dor bhī uljhī paḌī hai
zarā koyal kā piñjra khul gayā thā
abhī tak ḳhauf se sahmī paḌī hai
mukammal ek duniyā aur bhī hai
jo ik duniyā kī an-dekhī paḌī hai
baḌī banjar thī ye khetī 'liyāqat'
magar kuchh roz se sīñchī paḌī hai