Liaqat Jafri

koi samjhao dariya ki rawani kaTti hai

Liaqat Jafri

Jammu, Jammu and Kashmir, India

koī samjhāo dariyā kī ravānī kāTtī hai
ki mere saañs ko tishna-dahānī kāTtī hai
maiñ bāhar to bahut achchhā huuñ par andar hī andar
mujhe koī balā-e-nā-gahānī kāTtī hai
maiñ dariyā huuñ magar kitnā satāyā jā rahā huuñ
ki bastī roz aa ke merā paanī kāTtī hai
zamīñ par huuñ magar kaT kaT ke girtā jā rahā huuñ
musalsal ik nigāh-e-āsmānī kāTtī hai
maiñ kuchh din se achānak phir akelā paḌ gayā huuñ
na.e mausam meñ ik vahshat purānī kāTtī hai
ki raaja mar chukā hai aur shahzāde javāñ haiñ
ye raanī kis tarah apnī javānī kāTtī hai
nazar vaalo tumhārī aañkh se shikva hai mujh ko
zabāñ vaalo tumhārī be-zabānī kāTtī hai
Top Urdushayar.com