paḌe paḌe na.ī zar-ḳheziyāñ nikal aa.iiñ
kaTe daraḳht meñ phir Tahniyāñ nikal aa.iiñ
us aa.ine meñ thā sarsabz baaġh kā manzar
chhuā jo maiñ ne to do titliyāñ nikal aa.iiñ
maiñ toḌ Daalā gayā to imārat-e-jāñ meñ
kahāñ kahāñ se mirī chābiyāñ nikal aa.iiñ
maiñ āsmān pe pahuñchā to laḌkhaḌāne lagā
bulandiyoñ meñ ajab pastiyāñ nikal aa.iiñ
Thahar ga.e to mayassar huī na jā-e-amāñ
jo chal paḌe to ka.ī bastiyāñ nikal aa.iiñ
vahī nasīb ki maiñ shahryār jis se banā
usī nasīb meñ tañg-dastiyāñ nikal aa.iiñ
mire ilaaj ko allāh istaqāmat de
mire marīz kī phir pasliyāñ nikal aa.iiñ
maiñ āsmān se utrā zamīn kī jānib
zamīñ se merī taraf sīḌhiyāñ nikal aa.iiñ
vahī surāḳh jahāñ chhipkilī kā Derā thā
usī sūrāḳh se phir chyūñTiyāñ nikal aa.iiñ
abhī abhī to sambhālā gayā thā gard-o-ġhubār
hisār-e-dasht meñ phir āñdhiyāñ nikal aa.iiñ
sambhāl rakhā thā ammī ne jis ko maut talak
usī kabāḌ se kuchh taḳhtiyāñ nikal aa.iiñ
maiñ āḳhirī thā jise sarfarāz honā thā
mire hunar meñ bhī kotāhiyāñ nikal aa.iiñ