Siraj Faisal Khan

use pane ki karte ho dua to

Siraj Faisal Khan

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1991
use paane kī karte ho duā to
magar us se bhī kal jī bhar gayā to
yaqīnan aaj ham ik saath hote
agar karte zarā sā hausla to
chale ho rahnumā kar ilm ko tum
tumheñ is ilm ne bhaTkā diyā to
samajh sakte ho kyā anjām hogā
tumhāre vaar se vo bach gayā to
bahut masrūf thā mahfil meñ maanā
nahīñ kuchh boltā par dekhtā to
kisī ko chāhtī hai pūchh luuñ kyā
javāb is kā magar haañ meñ milā to
maiñ achchhā huuñ tabhī apnā rahī ho
koī mujh se bhī achchhā mil gayā to
bahut nazdīk mat aayā karo tum
kahīñ kuchh ho ga.ī ham se ḳhatā to
bahut se kaam kal karne haiñ mujh ko
magar ai zindagī kal na huā to
ġhulāmī meñ jakaḌ legā koī phir
vatan aise hī gar luTtā rahā to
use phir kaun māregā batāo
ġham-e-hijrāñ ne bhī Thukrā diyā to
Top Urdushayar.com