kitnā dushvār hai jazboñ kī tijārat karnā
ek hī shaḳhs se do baar mohabbat karnā
jis ko tum chāho koī aur na chāhe us ko
is ko kahte haiñ mohabbat meñ siyāsat karnā
surma.ī aañkh hasīñ jism gulābī chehrā
is ko kahte haiñ kitābat pe kitābat karnā
dil kī taḳhtī pe bhī āyāt likhī rahtī haiñ
vaqt mil jaa.e to un kī bhī tilāvat karnā
dekh lenā baḌī taskīn milegī tum ko
ḳhud se ik roz kabhī apnī shikāyat karnā
jis meñ kuchh qabreñ hoñ kuchh chehre hoñ kuchh yādeñ hoñ
kitnā dushvār hai us shahr se hijrat karnā