usī ke dam pe to ye dostī bachī huī thī
hamāre biich meñ jo ham-sarī bachī huī thī
hamāre biich meñ ik puḳhtagī bachī huī thī
bachī huī thī magar aarzī bachī huī thī
usī ke nuur se ye raushnī bachī huī thī
mire nasīb meñ jo tīrgī bachī huī thī
usī ke dam pe manāyā thā us ne jashn mirā
ki dushmanī meñ bhī jo dostī bachī huī thī
kamāl ye thā ki ham bahs haar baiThe the
hamāre lahje kī shā.istagī bachī huī thī
agarche ḳhatm the rishte paḌosiyoñ vaale
hamāre biich meñ hamsā.egī bachī hī thī
badal chukā thā vo apnā mizāj mere liye
magar dikhāve ko ik be-ruḳhī bachī huī thī
usī ke nuur se pur-nūr thā ye saarā jahāñ
hamārī aañkh meñ jo raushnī bachī huī thī
ab is maqām pe pahuñchā diyā thā ham ne ishq
junūn ḳhatm thā dīvāngī bachī huī thī
usī ne joḌ ke rakkhā huā thā rishte ko
hamāre biich meñ jo barhamī bachī huī thī
is ek baat kī sharmindagī ne maar diyā
mire vajūd tirī tishnagī bachī huī thī
ubuur kar liyā sahrā to phir se lauT aa.e
junūn baaqī thā āshuftagī bachī huī thī
maiñ gāhe-gāhe use yaad kar hī letā thā
isī bahāne mirī zindagī bachī huī thī
usī ke dam pe paḌhe bhī ga.e sune bhī ga.e
hamāre lahje meñ jo chāshnī bachī huī thī
zamāne terī hunar-kosh razm ke hāthoñ
maiñ luT chukā thā magar shā.erī bachī huī thī
vo kaun raaz thā jis ko bayān kar na sake
vo kaun baat thī jo 'ja.afarī' bachī huī thī