bas ek raat mire ghar meñ chāñd utrā thā
phir is ke baad vahī maiñ vahī añdherā thā
sabā kā narm sā jhoñkā thā yā bagūlā thā
vo kyā thā jis ne mujhe muddatoñ rulāyā thā
ajab uThān liye thā vo ġhairat-e-shamshād
tabāh-hāl diloñ kā kahāñ Thikāna thā
añdherī shaam thī bādal baras na paa.e the
vo mere paas na thā aur maiñ khul ke royā thā
zamīñ meñ dafn mujhe kar gayā hai jīte-jī
to kyā maiñ us ke liye qīmtī ḳhazīna thā
jhulas jhulas ke maiñ anjām-kār Duub gayā
vo thā sarāb magar pāniyoñ sā gahrā thā
nishāñ kahīñ bhī na the us kī uñgliyoñ ke magar
maiñ ghar kī dekh ke ek ek chiiz royā thā
jale to saath jaleñgī ye jhāḌiyāñ 'iz.hār'
kisī ke shahr meñ to dard yuuñ na baTtā thā