bahut se rāstoñ meñ tū ne jo rasta chunā thā
farishte aaj tak hairat meñ haiñ kaisā chunā thā
bahut se shahr rahne ke liye hāzir the lekin
hamesha zinda rahne ke liye sahrā chunā thā
jo pīchhe aa rahe the un se tū ġhāfil nahīñ thā
ki tū ne rāste kā ek ik kāñTā chunā thā
jahāñ meñ kaun thā dosh-e-nabī jis kā thā murkkab
isī ḳhātir barhana-pā.ī ne tujh sā chunā thā
zamāna jāntā hai kaun thā jo paar utrā
ki tū ne pyaas aur darbār ne dariyā chunā thā