Mohammad Izhar ul Haq

sunahri nind se kis ne mujhe bedar kar Dala

Mohammad Izhar ul Haq

Punjab, Pakistan

1948
sunahrī niiñd se kis ne mujhe bedār kar Daalā
darīcha khul rahā thā ḳhvāb meñ dīvār kar Daalā
nishāñ hoñToñ kā lau dene lagā hai zehn meñ ab to
bil-āḳhir maiñ ne us ko mish.al-e-ruḳhsār kar Daalā
naqāhat aur balā kā husn aur āñkhoñ kī dil-gīrī
ajab bīmār thā jis ne mujhe bīmār kar Daalā
mire dil se lipaTtī zulf bhī to dekhtā koī
sabhī nālāñ haiñ maiñ ne shahr kyuuñ mismār kar Daalā
mirī utran se apnī satar-poshī kar rahā hai vo
mire tarz-e-ġhazal ne kyā use nādār kar Daalā
jo ḳhā.if the ġhazal meñ zikr-e-baġhdād-o-buḳhārā se
vo ḳhush hoñ maiñ ne ab zikr-e-lab-o-ruḳhsār kar Daalā
Top Urdushayar.com