Mohammad Izhar ul Haq

ek khula maidan tamasha-gah ke us par hai

Mohammad Izhar ul Haq

Punjab, Pakistan

1948
ik khulā maidāñ tamāshā-gāh ke us paar hai
jis meñ har raqqās kā ik aa.ina tayyār hai
ret ke zariye hamārī manzileñ aur un kī ham
pas yahāñ samt-e-safar kā jānñā be-kār hai
raat aur tūfān-e-abr-o-bād mere har taraf
duur lau detī huī ik mash.al-e-ruḳhsār hai
phir kabhī uTThe to mil leñge na itne dukh uThā
maut se hotā huā ik rāsta hamvār hai
is tarah bāb-e-nasīhat khol kar baiThe haiñ log
jaise ḳhair o shar kā duniyā meñ koī me.aar hai
lahr vo aa.ī ki ham haiñ aur nasheb-e-gumrahī
ġham ke aage band ab ke bāñdhnā dushvār hai
silsila āvāz kā dekho ki ḳhoshe sarsarā.e
phir khanak hai dhaat kī phir saañp kī phunkār hai
Top Urdushayar.com