Mohammad Izhar ul Haq

qirtas o qalam hath mein hai aur shab-e-mah hai

Mohammad Izhar ul Haq

Punjab, Pakistan

1948
qirtās o qalam haath meñ hai aur shab-e-mah hai
ai rabb-e-azal khol de jo dil meñ girah hai
atrāf se har shab simaT aatī hai safedī
har sub.h jabīñ par magar ik roz-e-siyah hai
maiñ shaam se pahle hī pahuñch jā.ūñ to behtar
jañgal meñ huuñ aur sar pe mire bār-e-gunah hai
mahñgī hai jahāñ dhaat mire surḳh lahū se
zardī ke us āshob meñ to merī panah hai
muñh-zor zamānoñ kī zarā khīñch le bāgeñ
mere kisī bichhḌe hue kī sāl-girah hai
Top Urdushayar.com