Mohammad Izhar ul Haq

koi zari suni nahin jati koi jurm muaf nahin hota

Mohammad Izhar ul Haq

Punjab, Pakistan

1948
koī zaarī sunī nahīñ jaatī koī jurm muaaf nahīñ hotā
is dhartī par is chhat ke tale koī tere ḳhilāf nahīñ hotā
kabhī damkeñ sone ke zarre kabhī jhalke murġhābī kā lahū
ka.ī pyāse kab se khaḌe haiñ magar paanī shaffāf nahīñ hotā
koī zulf aḌe to bikhar jaanā koī lab dahkeñ to ThiThur jaanā
kyā tazkiyā karte ho dil kā ye ā.īna saaf nahīñ hotā
ka.ī mausam mujh par guzar ga.e ehrām ke in do kapḌoñ meñ
kabhī patthar chuum nahīñ saktā kabhī izn-e-tavāf nahīñ hotā
yahāñ taaj us ke sar par hogā jo taḌke shahr meñ dāḳhil ho
yahāñ saaya humā kā nahīñ paḌtā yahāñ koh-qāf nahīñ hotā
Top Urdushayar.com