ab kisī ko nahīñ mirā afsos
jaan kar ye bahut huā afsos
dukh nahīñ ye jahāñ muḳhālif hai
saath apne nahīñ ḳhudā afsos
laḌ ke barbād ho ga.e jab ham
saath mil kar kiyā gayā afsos
jab bhī ḳhushiyoñ ne dar pe dastak dī
sāmne aa khaḌā huā afsos
ham faqat jañg hī nahīñ haare
hausla bhī bikhar gayā afsos
ik ġhazal aur ho ga.ī ham se
sher koī nahīñ huā afsos
aap ko maiñ ne Thes pahuñchā.ī
maiñ ne behad burā kiyā afsos
ḳhūb-sūrat bahut nazar aa.e
jab mirā dil nahīñ rahā afsos
mujh ko ḳhud par yaqīñ nahīñ jānāñ
tum ne mujh par yaqīñ kiyā afsos
maiñ ne baaqī nahīñ rakhā kuchh bhī
aap ne kuchh nahīñ kiyā afsos
tū hai sharminda ilm hai lekin
tū nazar se utar gayā afsos
aadmī tū 'sirāj' achchhā thā
itnī jaldī guzar gayā afsos
fātiha paḌh ki phuul rakh mujh par
aa gayā hai to kuchh jatā afsos
us ne barbād kar diyā mujh ko
us ko is kā nahīñ zarā afsos
mujh ko tum par bahut bharosa thā
tum ne māyūs kar diyā afsos
ai ḳhudā hai hasīñ tirī duniyā
par mirā jī uchaT gayā afsos