Mohammad Izhar ul Haq

paDe hue hain mere jism o jaan mere pichhe

Mohammad Izhar ul Haq

Punjab, Pakistan

1948
paḌe hue haiñ mire jism o jaañ mire pīchhe
hai ek lashkar-e-ġhārat-girāñ mire pīchhe
pas-e-vafāt ye be-dastaḳhat mirī tahrīr
nahīñ hai aur koī bhī nishāñ mire pīchhe
mire mulāzim o ḳhargāh asp aur shatranj
sab aa.eñ nazm se mātam-kunāñ mire pīchhe
guzar rahī hai añdhere meñ us badan par kyā
na khul sakegī yahī chīstāñ mire pīchhe
uThī huī mire sar par azal se hai talvār
khiñchī huī hai abad se kamāñ mire pīchhe
ghirā huā huuñ janam-din se is ta.āqub meñ
zamīn aage hai aur āsmāñ mire pīchhe
Top Urdushayar.com