barūn-e-dar nikalte hī bahut ghabrā gayā huuñ
maiñ jis duniyā meñ thā kyuuñ us se vāpas aa gayā huuñ
koī sayyāra mere aur us ke darmiyāñ hai
maiñ kyā thā aur dekho kis tarah gahnā gayā huuñ
mujhe raas aa na pā.eñge ye paanī aur miTTī
ki maiñ ik aur miTTī se huuñ aur murjhā gayā huuñ
maiñ patthar chuum kar tahlīl ho jāatā havā meñ
magar zinda huuñ aur haihāt vāpas aa gayā huuñ
kahāñ maiñ aur kahāñ darbār kā jahl-o-takabbur
magar ik ism kī tasbīh jis se chhā gayā huuñ