Mohammad Izhar ul Haq

burida gesuon mein aankh ka rasta nahin tha

Mohammad Izhar ul Haq

Punjab, Pakistan

1948
burīda gesuoñ meñ aañkh kā rasta nahīñ thā
vo chehra ḳhūbsūrat thā magar dekhā nahīñ thā
maiñ jab sāhil pe utrā ḳhalq merī muntazir thī
ka.ī din ho ga.e the bādshāh miltā nahīñ thā
bulāte the hameñ injīr aur zaitūn ke phal
magar vaadī meñ jaane kā koī rasta nahīñ thā
tanā yāqūt kā shāḳheñ zamurrad kī banī thiiñ
samar la.al-o-gohar the naḳhl kā saaya nahīñ thā
paroñ meñ aa.ine minqār meñ tāj-e-shahī thā
parinda qaaf se aayā magar uḌtā nahīñ thā
Top Urdushayar.com