najāt ke liye roz-e-siyāh māñgtī hai
zamīn ahl-e-zamīñ se panāh māñgtī hai
bharā na atlas-o-marmar se peT ḳhilqat kā
ye bad-nihād ab āb-o-giyāh māñgtī hai
riyāzatoñ se farishta-sifat to ho na sakī
mohabbat aa.ī hai tāb-e-gunāh māñgtī hai
vo rañg-e-kūcha-o-bāzār hai ki ab bastī
gharoñ se duur alag qatl-gāh māñgtī hai
ragoñ meñ dauḌtā phirtā hai ijz sadiyoñ kā
ra.ī.yat aaj bhī ik bādshāh māñgtī hai