Mohammad Izhar ul Haq

ek charagh yahan mera hai ek diya wahan tera

Mohammad Izhar ul Haq

Punjab, Pakistan

1948
ek charāġh yahāñ merā hai ek diyā vahāñ terā
biich meñ aqlīmeñ paḌtī haiñ paanī aur añdherā
koī na jaane kaun sā lafz hai jis se jī uTThūñgā
jis taa.ir meñ jaan hai merī us kā duur baserā
sāhil par to haath ko haath sujhā.ī nahīñ detā hai
shāyad kisī jahāz meñ bhar kar laa.e koī saverā
bharā huā hai jānvaroñ aur sāñpoñ se ye jañgal
hijr dikhā.ī detā thā bāhar se sabz ghanerā
dhuup aur bārish bhejne vaale merī bhī sun lenā
tere baaġh ke goshe meñ ik kachchā phuul hai merā
Top Urdushayar.com