isī duniyā meñ duniyā.eñ hamārī bhī basī haiñ
ravish se sīḌhiyāñ marmar kī paanī meñ ga.ī haiñ
mahal hai aur sulagtā uud hai aur jhāḌ-fānūs
lahū se mushk a.azā se shuā.eñ phūTtī haiñ
tamannā ke jazīre āsmānoñ meñ bane haiñ
mire chāroñ taraf lahreñ isī jānib uThī haiñ
ye kaisī dhuup aur paanī meñ afzā.ish huī hai
bahishtī Tahniyāñ is oḌhnī se jhāñktī haiñ
hamārā naam bhī bāra-darī par naqsh karnā
ye saarī jāliyāñ ham ne nigāhoñ se bunī haiñ