Mohammad Izhar ul Haq

KHizan tujh par ye kaisa barg-o-bar aane laga hai

Mohammad Izhar ul Haq

Punjab, Pakistan

1948
ḳhizāñ tujh par ye kaisā barg-o-bār aane lagā hai
mujhe ab mausamoñ par e'tibār aane lagā hai
kahāñ dopahr kī hiddat kahāñ ThanDak shafaq kī
siyah resham meñ chāñdī kā ġhubār aane lagā hai
khuleñge vasl ke dar dūsrī duniyāoñ meñ bhī
bil-āḳhir hijr ke ruḳh par nikhār aane lagā hai
mire asbāb meñ mashkīza-o-ḳhurjīn rakhnā
safar kī shaam hai aur regzār aane lagā hai
falak ko baar baar ahl-e-zamīñ yuuñ dekhte haiñ
ki jaise ġhaib se koī savār aane lagā hai
Top Urdushayar.com