ai sañg-e-rāh ābla-pā.ī na de mujhe
aisā na ho ki raah sujhā.ī na de mujhe
sat.h-e-shu.ūr par hai mire shor is qadar
ab naġhma-e-zamīr sunā.ī na de mujhe
insāniyat kā jām-e-jahāñ paash paash ho
allāh mere aisī ḳhudā.ī na de mujhe
rañgīniyāñ shabāb kī itnī haiñ dil-fareb
bāloñ pe aatī dhuup dikhā.ī na de mujhe
tark-e-ta.alluqāt pe isrār thā tujhe
ab to mirī vafā kī duhā.ī na de mujhe
be-bāl-o-par huuñ raas na aa.egī ye fazā
'sānī' qafas se apne rihā.ī na de mujhe