zindagī ḳhār-zār meñ guzrī
justajū-e-bahār meñ guzrī
kuchh to paimān-e-yār meñ guzrī
aur kuchh e'tibār meñ guzrī
manzil-e-zīst ham se sar na huī
yād-e-gesū-e-yār meñ guzrī
phuul giryāñ the har kalī larzāñ
jaane kaisī bahār meñ guzrī
zindagānī tavīl thī lekin
maut ke intizār meñ guzrī
aap se mil ke zindagī apnī
justujū-e-qarār meñ guzrī
jo bhī guzrī burī bhalī 'sānī'
aap ke iḳhtiyār meñ guzrī