Mirza Haider Ali Hairan

gar yahi waza hai aur hain yahi haihat nasib

Mirza Haider Ali Hairan

gar yahī vaz.a hai aur haiñ yahī haihāt nasīb
to hameñ ho chukī bas us se mulāqāt nasīb
ham lab-e-gor hue ḳhūñ-ba-jigar is ġham se
karnī us ġhuncha-dahan se na huī baat nasīb
sub.h har roz isī ġham meñ hameñ hotī hai shaam
aah jāgeñge mire kaun sī ab raat nasīb
kuchh hameñ shikva nahīñ jaur se tere hargiz
ham hamesha se haiñ ai jaan kuchh āfāt nasīb
masjidoñ meñ phire nit sub.ha phirāte 'hairāñ'
shaiḳh jī par na huī tum ko karāmāt nasīb
Top Urdushayar.com