aajiz thā be-ijz nibhā.ī rasm-e-judā.ī maiñ ne bhī
us ne mujh se haath chhuḌāyā jaan chhuḌā.ī maiñ ne bhī
jañgal ke jal jaane kā afsos hai lekin kyā karnā
us ne mere par girā.e aag lagā.ī maiñ ne bhī
us ne apne bikhre ghar ko phir se sameTā Thiik kiyā
apne bām-o-dar pe baiThī gard uḌaa.ī maiñ ne bhī
nauha-garān-e-yār meñ yāroñ merā naam bhī likh denā
us ke saath bahut din kī hai naġhma-sarā.ī maiñ ne bhī
ek diyā to marqad par bhī jaltā hai 'āsim' āḳhir
duniyā aas pe qaa.em thī so aas lagā.ī maiñ ne bhī