mile to kaash mirā haath thaam kar le jaa.e
vo apne ghar na sahī mujh ko mere ghar le jaa.e
butān-e-shahr tumhāre larazte hāthoñ meñ
koī to sañg ho aisā ki merā sar le jaa.e
diyā karūñgā yūñhī tere naam kī dastak
mirā nasīb mujhe laakh dar-ba-dar le jaa.e
vo aadmī ho ki ḳhushbū bahut hī rusvā hai
havā-e-shahr jise apne dosh par le jaa.e
mire qarīb se guzre to ahl-e-dil bole
uThā ke kaun parinda lahū meñ tar le jaa.e
palaT ke aa.e to shāyad na kuchh dikhā.ī de
vo jā rahā hai to 'āsim' mirī nazar le jaa.e