ḳhvāb ta.abīr meñ Dhalte haiñ yahāñ se aage
aa nikal jaa.eñ shab-e-vahm-o-gumāñ se aage
rañg pairāhan-e-ḳhākī kā badalne ke liye
mujh ko jaanā hai abhī reg-e-ravāñ se aage
ik qadam aur sahī shahr-e-tanaffus se udhar
ik safar aur sahī kūcha-e-jāñ se aage
is safar se koī lauTā nahīñ kis se pūchheñ
kaisī manzil hai jahān-e-guzarāñ se aage
maiñ bahut tez havāoñ kī guzargāh meñ huuñ
ek bastī hai kahīñ mere makāñ se aage
merī āvārgī yuuñ hī to nahīñ hai 'āsim'
koī ḳhushbū hai mirī umr-e-ravāñ se aage