hausle the kabhī bulandī par
ab faqat bebasī bulandī par
ḳhaak meñ mil ga.ī anā sab kī
chaḌh ga.ī thī baḌī bulandī par
phir zamīñ par bikhar ga.ī aa kar
dhuup kuchh pal rahī bulandī par
khil rahī hai tamām ḳhushiyoñ meñ
ik tumhārī kamī bulandī par
ham zamīñ se yahī samajhte the
hai bahut raushnī bulandī par
gir ga.ī haiñ samāj kī qadreñ
chaḌh gayā aadmī bulandī par
zindagī dekh kar huī hairān
aa ga.ī maut bhī bulandī par
mujh se sahrā panāh māñge hai
dekh vahshat merī bulandī par
ham zamīñ par gire bulandī se
ḳhaak uḌ kar ga.ī bulandī par
ek dil par kabhī hukūmat thī
ya.anī maiñ thā kabhī bulandī par
khal rahī hai kuchh ek logoñ ko
merī maujūdgī bulandī par
hai ḳhudā sāmne mere maujūd
aa ga.ī bandagī bulandī par