vahshat nigār lamhe aahū qatār lamhe
maiñ huuñ shikār un kā merā shikār lamhe
āñkheñ taras rahī haiñ āñkheñ baras rahī haiñ
tasvīr ho ga.e haiñ palkoñ pe chaar lamhe
bhārī agarche hai man har saañs jaise uljhan
kaT jā.eñge yaqīnan ye intizār lamhe
kyā bair hai kisī se miliye gale sabhī se
behtar haiñ har ḳhushī se ye ashk-bār lamhe
apnī to ek haT hai be-lāg be-lipaT hai
sadiyoñ kī ek raT hai de de udhār lamhe