Saleem Muhiuddin

yahan wahan kuchh lafz hain mere nazMein ghazlen teri hain

Saleem Muhiuddin

yahāñ vahāñ kuchh lafz haiñ mere nazmeñ ġhazleñ terī haiñ
rañg dhanak ye mahkā bādal sab tasvīreñ terī haiñ
tanhā rahūñ yā bhiiḌ se guzrūñ tanhā maiñ kab hotā huuñ
yuuñ lagtā hai jaise musalsal mujh pe nigāheñ terī haiñ
tanhā sāhil ḳhvāb gharauñdā aas jazīra merā hai
niilā bādal saat samundar pāñch zamīneñ terī haiñ
husn-e-jānāñ ishq kā jaadū raqs-o-mastī dard kī lai
is mahfil kī jaltī bujhtī saarī shāmeñ terī haiñ
do hissoñ meñ baTī hai kaise ye duniyā yuuñ jaanā hai
ḳhvāb haiñ jitne sab mere haiñ sab ta.abīreñ terī haiñ
Top Urdushayar.com