Ghaus Mohammad Ghausi

na hote shad aain-e-gulistan dekhne wale

Ghaus Mohammad Ghausi

na hote shaad ā.īn-e-gulistāñ dekhne vaale
fasāna bhī agar paḌh lete unvāñ dekhne vaale
halākat-ḳhez ījādoñ pe duniyā faḳhr kartī hai
kahāñ haiñ irtiqā-e-nau-e-insāñ dekhne vaale
jo mumkin ho tum apne haath kī rekhā khurach Daalo
ki ham haiñ to sahī ḳhvāb-e-pareshāñ dekhne vaale
ye raḳhne haiñ ye dar haiñ ye tire ajdād ke sar haiñ
idhar aa katba-e-dīvār-e-zindāñ dekhne vaale
tulū-e-āftāb-e-āgahī kyā ḳhaak dekheñge
hiqārat se mirā chāk-e-garebāñ dekhne vaale
to phir kaisī nazar-bandī tilsimāt-e-tadabbur kyā
jo ḳhud ko dekh leñ jashn-e-charāġhāñ dekhne vaale
shikast-e-zauq-e-nazzāra muqaddar hī sahī 'ġhausī'
unheñ dekheñge phir bhī tā-ba-imkāñ dekhne vaale
Top Urdushayar.com