Ghaus Mohammad Ghausi

ab to KHud se bhi kuchh aisa hai bashar ka rishta

Ghaus Mohammad Ghausi

ab to ḳhud se bhī kuchh aisā hai bashar kā rishta
jaise parvāz se TuuTe hue par kā rishta
koī khiḌkī bhī nahīñ ab to jo baaqī rakhtī
mere ghar se mire ham-sā.e ke ghar kā rishta
tum farishte hī sahī nazreñ na badlo yaaro
kyā farishtoñ se nahīñ koī bashar kā rishta
moḌ aane do abhī sāmne aa jā.egā
kyā hai aapas meñ sharīkān-e-safar kā rishta
tū mire chāk-garebāñ ko nayā sūraj de
joḌ jā.ūñ maiñ dhuñdlakoñ se sahar kā rishta
mere hāthoñ kī lakīreñ ye batātī haiñ mujhe
pattharoñ hī se rahegā mire sar kā rishta
sab ke chehroñ kī ḳharāsheñ haiñ nazar meñ 'ġhausī'
ā.inoñ se hai dil-e-ā.ina-gar kā rishta
Top Urdushayar.com