talḳhi-e-mai meñ zarā talḳhī-e-dil bhī gholeñ
aur kuchh der yahāñ baiTh ke pī leñ ro leñ
har taraf ek pur-asrār sī ḳhāmoshī hai
apne saa.e se koī baat kareñ kuchh boleñ
koī to shaḳhs ho jī-jān se chāheñ jis ko
koī to jān-e-tasavvur ho ki jis ke ho leñ
aah ye dil kī kasak haa.e ye āñkhoñ kī jalan
niiñd aa jaa.e agar aaj to ham bhī so leñ