jab bhī aatī hai tirī yaad kabhī shaam ke ba.ad
aur baḌh jaatī hai afsurda-dilī shaam ke ba.ad
ab irādoñ pe bharosa hai na tauba pe yaqīñ
mujh ko le jaa.e kahāñ tishna-labī shaam ke ba.ad
yuuñ to har lamha tirī yaad kā bojhal guzrā
dil ko mahsūs huī terī kamī shaam ke ba.ad
yuuñ to kuchh shaam se pahle bhī udāsī thī 'adīb'
ab to kuchh aur baḌhī dil kī lagī shaam ke ba.ad