Krishn Adeeb

sar-phiri pagal hawa ka tez jhonka aaega

Krishn Adeeb

sar-phirī pāgal havā kā tez jhoñkā aa.egā
hasratoñ ke ḳhushk pattoñ ko uḌā le jā.egā
dūdhiyā ākāsh meñ kis ko sadā detā hai tū
tere maazī kā parinda ab na vāpas aa.egā
chhoTī chhoTī ḳhvāhishoñ kā qatl hote dekh kar
umr kā ehsās ruḳh par gard ban ke chhā.egā
vaqt us se chhīn legā ḳhud-pasandī kā ġhurūr
haañ yaqīnan vo ḳhudā ban kar bahut pachhtā.egā
vo hai sar-tā-pā mujassam ik francisi sharāb
nashsha ban kar jism us kā zehn par bhī chhā.egā
ḳhvāhishoñ ke jañgaloñ meñ lazzatoñ ke peḌ haiñ
jin ke saa.e meñ musāfir der tak sustā.egā
aap apnī aag meñ ham haath tāpeñge 'adīb'
jab december saath apne barf-bārī lā.egā
Top Urdushayar.com