Krishn Adeeb

madrasa aawargi aur hath mein basta na tha

Krishn Adeeb

madrasa āvārgī aur haath meñ basta na thā
jo kitāboñ meñ hai likhā us ko vo paḌhtā na thā
yuuñ to darvāze khule the saare us ke vāste
vo musāfir rāstoñ kā ek jā Thahrā na thā
jo sunātā thā kabhī āb-e-ravāñ kī dāstāñ
us ke hoñToñ kā muqaddar os kā qatra na thā
tishnagī hī tishnagī thī aur sahrā ke sarāb
aañkh paanī par thī lekin sāmne dariyā na thā
chhoḌ aayā thā jise maiñ ḳhud anā ke zo.am meñ
phir palaT kar us ko maiñ ne umr bhar dekhā na thā
mere hāthoñ meñ hai ḳhushbū us ke hāthoñ kī 'adīb'
jism jis kā chhū ke maiñ ne aaj tak dekhā na thā
Top Urdushayar.com