dhīmā dhīmā dard suhānā ham ko achchhā lagtā thā
dukhte jī ko aur dukhānā ham ko achchhā lagtā thā
zaḳhm ko apne phuul samajhnā motī kahnā ashkoñ ko
ishq kā kārobār sajānā ham ko achchhā lagtā thā
din din bhar āvāra phirnā ek hamārī aadat thī
raat ga.e ghar luuT ke aanā ham ko achchhā lagtā thā
baiTh ke yāroñ kī mahfil meñ piite rahnā der talak
apne-āp ko bhuul hī jaanā ham ko achchhā lagtā thā
chup chup rahnā aa.heñ bharnā kuchh na kahnā logoñ se
tanhā tanhā ashk bahānā ham ko achchhā lagtā thā
shāḳh se TuuTe sūkhe patte tez havā ke shānoñ par
shahroñ shahroñ ḳhaak uḌānā ham ko achchhā lagtā thā
shahr-e-ġham kī ek udāsī dil meñ har-dam rahtī thī
dīvāroñ se sar Takrānā ham ko achchhā lagtā thā
gul-badanoñ ko takte rahnā bāteñ karnā ḳhushbū kī
nigah-e-gul kā qarz chukānā ham ko achchhā lagtā thā
nashsha-e-ġham kī sarshārī bhī kam to nahīñ thī phir bhī 'adīb'
talḳhi-e-mai meñ zahr milānā ham ko achchhā lagtā thā