sāhiloñ kī ḳhāmushī ne jab fasurda kar diyā
ḳhvāhishoñ kī kashtiyoñ ko ġharq-e-dariyā kar diyā
jism kyā thā lazzatoñ kā ek dariyā thā kabhī
har kisī ne pī ke jis ko aaj sahrā kar diyā
aaj baiThe tak rahe haiñ umr kā ḳhālī gilās
mausamoñ kā mai-kada ye kis ne suunā kar diyā
maiñ barahna jism us kā oḌh kar phirtā rahā
jāma-poshī ke junūñ ne mujh ko nañgā kar diyā
thā yaqīnan dostoñ kī saf meñ ik dushman mirā
be ḳhabar pā kar achānak jis ne hamla kar diyā
soch kī saarī basīrat chhīnñe vaale batā
tū to sūraj thā mirā kyuuñ mujh ko andhā kar diyā
vo jo kal tak māñgte the mujh se qad merā 'adīb'
sher ke nāqid ne un ko mujh se ūñchā kar diyā