Mohsin Jalganvi

ghar se nikal bhi aaen magar yar bhi to ho

Mohsin Jalganvi

ghar se nikal bhī aa.eñ magar yaar bhī to ho
jī ko lage kahīñ koī kirdār bhī to ho
ye kyā ki barg-e-zard sā TuuTe bikhar ga.e
āñdhī chale havāoñ kī yalġhār bhī to ho
sar ko abas hai sañg-e-tavātur kā sāmnā
sahn-e-makāñ meñ shāḳh-e-samar-bār bhī to ho
anmol ham guhar haiñ magar tere vāste
bik jaa.eñ koī aisā ḳharīdār bhī to ho
kāġhaz kī kashtiyoñ meñ samundar lapeT leñ
pahlū meñ tere qurb kī patvār bhī to ho
sab ko usī ke lahje kī tauqīr chāhiye
'mohsin' kisī ko miir sā āzār bhī to ho
Top Urdushayar.com