Mohsin Jalganvi

bisat-e-zat pathrai to jaana

Mohsin Jalganvi

bisāt-e-zāt pathrā.ī to jaanā
ḳhabar aḳhbār meñ aa.ī to jaanā
safar āsāñ nahīñ hai pāniyoñ kā
jo talve aa ga.ī kaa.ī to jaanā
lahū kyā chiiz hai iz.hār kyā hai
ġhazal kuchh aur bal khaa.ī to jaanā
to vo bhī jhūT-chehra jī rahā thā
jo us kī aañkh bhar aa.ī to jaanā
virāsat saarī apne naam kar lī
magar us ne mujhe bhaa.ī to jaanā
gharauñde meñ bhī ik ātish-kada thā
hamārī jaañ pe ban aa.ī to jaanā
thī 'mohsin' ye bhī jins-e-nā-mubārak
huī shohrat kī rusvā.ī to jaanā
Top Urdushayar.com