kyuuñ DhūñDhtī rahtī huuñ use saare jahāñ meñ
vo shaḳhs ki rahtā hai mire dil ke makāñ meñ
maiñ vo nahīñ kahte haiñ jo kuchh aur kareñ aur
jo kuchh hai mire dil meñ vahī mere bayāñ meñ
yā-rab tirī rahmat jo kabhī josh meñ aa.e
maiñ soch bhī pā.ūñ na kabhī vahm-o-gumāñ meñ
kyā zikr ki is ziist meñ kuchh khoyā ki paayā
ab kuchh bhī to rakkhā nahīñ is suud o ziyāñ meñ
masrūf huuñ itnī ki tavajjoh nahīñ detī
detā hai sadā koī mujhe qarya-e-jāñ meñ
vo sañg kabhī mom kī sūrat bane 'nusrat'
ab itnā asar lā.ūñ kahāñ apnī zabāñ meñ