Iqbal Payam

asbab yahi hai yahi saman hamara

Iqbal Payam

asbāb yahī hai yahī sāmān hamārā
chiḌiyoñ se mahaktā rahe dālān hamārā
har shaḳhs ko ḳhush-hālī kī dete haiñ duā.eñ
har shaḳhs hī kar jaatā hai nuqsān hamārā
har shaḳhs hī kyuuñ us ko miTāne pe tulā hai
dīvāroñ pe likkhā huā paimān hamārā
piite haiñ faqat saath nibhāne ke liye ham
har shaam ko ġham hotā hai mehmān hamārā
rahnā hai kisī aur ke qabze meñ hamesha
bhar saktā nahīñ koī bhī tāvān hamārā
is baat kā dukh hai ki ishāra nahīñ kaaTā
har moḌ pe hotā rahā chālān hamārā
har roz paḌe hote haiñ sab phuul zamīñ par
ye kaun girā detā hai gul-dān hamārā
Top Urdushayar.com