Iqbal Payam

usne dil se nikal rakkha hai

Iqbal Payam

us ne dil se nikāl rakkhā hai
kis musībat meñ Daal rakkhā hai
ġhaur se dekh us kī āñkhoñ meñ
raushnī kā kamāl rakkhā hai
us se hotī nahīñ mulāqāteñ
us ne va.adoñ pe Taal rakkhā hai
mere āñgan meñ kyā ḳhushī aa.e
sāmne ġham kā jaal rakkhā hai
vo hameñ pūchhne nahīñ aatā
ham ne jis ko sambhāl rakkhā hai
us kī ham is adā pe haiñ qurbān
rābta to bahāl rakkhā hai
ye kisī taur khul nahīñ paatā
kis ne kis kā ḳhayāl rakkhā hai
is kudūrat se mujh ko miltā hai
jaise shīshe meñ baal rakkhā hai
jis kā apnā nahīñ javāb koī
us ke aage savāl rakkhā hai
ai 'payām' us kī bhī ḳhabar le lo
kar ke jis ne niDhāl rakkhā hai
Top Urdushayar.com