Iqbal Payam

jis ka chehra gulab jaisa hai

Iqbal Payam

jis kā chehra gulāb jaisā hai
us kā milnā to ḳhvāb jaisā hai
baat kartā huuñ is liye un kī
baat karnā savāb jaisā hai
merā jiinā tirī judā.ī meñ
ik musalsal azaab jaisā hai
nashsha us kī nashīlī āñkhoñ kā
sab se achchhī sharāb jaisā hai
haal us kā bhī āj-kal yaaro
dil-e-ḳhāna-ḳharāb jaisā hai
ai 'payām' in kī chāhatoñ kā payām
chāhatoñ kī kitāb jaisā hai
Top Urdushayar.com