Mohammad Isa Tanha

humse karte ho bayan ghairon ki yari aan kar

Mohammad Isa Tanha

ham se karte ho bayāñ ġhairoñ kī yaarī aan kar
rah ga.ī hai aap kī ye dost-dārī aan kar
ham ko aane se tumhārī bazm ke kyā thā husūl
dekh lete the magar sūrat tumhārī aan kar
rūThne par mere kyā lāzim thā ho jaanā ḳhafā
balki karnī thī tumheñ ḳhātir hamārī aan kar
ta.an-e-bad-ḳhvāhāñ se tū ik-dam na pāvegā qarār
kī jo tere dar pe ham ne be-qarārī aan kar
thā agarche ġhash meñ majnūñ lekin āñkheñ khul ga.iiñ
sar pe us ke jis ghaḌī lailā pukārī aan kar
jis jigar-kushta kā tere lāsha thā ḳhuuñ meñ paḌā
ḳhuub sā royā vahāñ abr-e-bahārī aan kar
maiñ bhī kyā bargashta-tāle.a huuñ ki 'tanhā' raat ko
phir ga.ī dar tak mire us kī savārī aan kar
Top Urdushayar.com