ik parinda sar-e-dīvār bhī baaqī na rahā
ab to parvāz kā dīdār bhī baaqī na rahā
habs aisā thā ki saa.e meñ sulag uTThe gulāb
lū chalī aisī ki gulzār bhī baaqī na rahā
log dam saadh ga.e ḳhauf ne gherā aise
koī andesha-e-be-kār bhī baaqī na rahā
hādisa kyā huā bikhre hue sannāTe meñ
lafz se rishta-e-iz.hār bhī baaqī na rahā
ek vahshat hī matā.a-e-ġham-e-jānāñ niklī
lutf-e-dildārī-e-ġham-ḳhvār bhī baaqī na rahā
jaañ sisaktī rahī ḳhvāhish ke bayābānoñ meñ
shauq-e-har-lahza kā āzār bhī baaqī na rahā
dil bhī yādoñ kī kaḌī dhuup meñ kumhlā sā gayā
aur koī sāya-e-dīvār bhī baaqī na rahā
aisī vīrānī hai ḳhud maut bhī katrā ke chalī
koī marne kā sazā-vār bhī baaqī na rahā